KOI TAQAZA NA KARTA HO TO WIRAASAT KI TAQSIM KA HUKM

AAJ KA SAWAL No. 2562

Me bada bhai hun Walid sahab ka intiqal ho gaya hai us waqt se karobar mene sambhala tha meri dusri do badi bahan aur do chhote bhai hain sab saath me rahte hain aur kharch me chalata hun. unki taraf se wiraasat ki taqsim ka koi taqaza nahi hai,

Ek bahan ki shadi bhi mene karai. sab maal milkat me jo kuchh kaarobar ke liye karna ho ham ne ek dusre ijazat dee hai to kya fir bhi wiraasat ki taqsim shareeat me zarooree hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Aap ke bhai bahan aap ke maatahat (under) me hain isliye Sharma sharmi me kuchh nahi kahte magar dil se koi ijazat nahi deta isliye unki zahiree Ijazat mu’atabar nahi jiski bina par ek waaris ka tamaam maal par qabza kar lena bilkul haraam aur na-jaiz hai,

Khaas kar us surat me jab ke baaz waris naa-baalig ya paagal ya gaaib hon, Kyun ke gaaib ki ijazat ka kuchh ilm nahi aur na-baalig aur paagal khush dili se saaf saaf ijazat de to bhi unki ijazat mu’atabar nahi.

Lihaza azabe qabr aur azabe jahannam se daren aur zulm wa maal dabane se baaz aaye aur warison ko jald az jald unka haq pahonchaye.

📗AHKAAME MAIYYIT SAFA 190 BA HAWALA

📘WA’ZE ISLAME HAQEEQEE

و الله اعلم بالصواب

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *