MUHARRAM KA SHARBAT 1486
Muharram ke dino me jo log sharbat ki sabeel (parab) lagate hain woh jaiz hai ya nahin?
Is me chanda dena jaiz hai ya haraam?
Jawab: حامد و مصلیا و مسلما
Sharbat ya paani hi pilaane ki pabandi galat aur gair saabit hai. agar sardi ka mausam hai to tab bhi sharbat hi pilaya jaye! (aisa muhallah (street) ho jis me har ghar me thanda aur matke ka paani mavjood hai, to jahaan paani ki zarurat nahin wahaan bhi paani ke matke hi ki sabeel lagane ka kya maqsad hai?)
ek galat aqeedah ko bhi is me dakhal hai, woh yeh hai ke Hazrat Husain رضی اللہ عنہ ke mutalliq mashhoor hai, ke piyase shaheed kiye gaye, aur yeh sharbat aur paani unke paas pahonch kar unki piyas bujhayega.
Is aqeedah ki islaah (Durust Karna) zaruri hai. yeh sharbat wahaan nahin pahonchta, na unko is sharbat ki zarurat hai.
Allah paak ne unke liye jannat me a’ala se a’ala (behtareen) ni’amaten ataa kar rakhi hain, jinke muqabalah me yahaan ka sharbat koi haisiyat nahin rakhta.
و اللہ اعلم بالصواب
FATAWA MAHMOODIYAH DABHEL 20/278
Mufti Imran Ismail Memon.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.