Muslim Aurato Ka Deeni Dunyawi Ijtemai Kam Me Judna

mulk ke mojuda halat me apni shariyat aur mulk ki hifajat se mutaalliq Chand savalat ke shariyat ki roshni me Javab matlub hai

(1) Muslim khavatin ki ihtijajj-mukhalifat reliyan nikalna kesa he ?

(2) muslim khavatin ka ihtijaji jalsa karna kesa he ?

(3) muslim khavatin ko Sahar ke mukhtalif ilaqo me jama karke aayate Karima aur surah e Yaseen vagera ki tilawat karke ijtimaee duaa karana kesa he?

(4)kya seculer mulk ke qanoon ki hifajat saraee masla he?

(5)agar secular mulk me secularism aur aqalliyato khususon musalmano ke khilaf hukumat koi qanun banaati he to kya karna chahiye?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

(1,2)
Allah taala quraan Kareem me farmate he (vaqarn fi buyutikunan)
Quraane Kareem ki is ayat ne ek azim usul bayan farmaya he ke:
Aurat ka asal fariza ghar aur Khandan ko aabad rakhna he. Aur musalsal aesi sar garmiya jo is maqsad me khalal andaz ho uske asal maqsade zindagi ke khilaf he.
Albatta iska ye matlab bhi nahi ke aurat ke liye ghar se nikalna jaij nahi, balke zarurate diniya va dunviyya ke liye ghar se nikal Sakti he, jese haj, Umrah, ilajo muaalaja, niz rishtedaro se Milne ke liye aur zarurat ke vaqt sharee hudud- boundary me rehte huwe rozi kamane ke liye bhi nikal Sakti he.

Bharat me jo Naya qanun laya gaya he aur masjid girane ki koshish ki ja rahi he vo bilkul siyah qanun he, jo musalmano Ko apne hi mulk me ajnabi aur number 2 ka shahri banane ke liye he, balke ye kaha jaye ke ye musalmano Ko gair mulki sabit karne ki bharpur koshish he.

Is siyah (kaale) qanun ko rad karvane ke liye jitni bhi koshishe ho Sakti he karni chahiye, jisme qanuni chara joyi shath Sabse muasisr jo tariqa he vo poor Aman-shsnti ke sath ahtija-aawaz uthana he, jiska fayda khulkar nazar bhi aa raha he, ke hukumat is kale kanun par safai aur aapna difaa karne par majbur ho gayi he.

Niz jamhuriyat- democracy me sar gine jate he, lihaza jo aehtijaj aurto ke liye maksoos ho, jaha fitne ka koi khof na ho to sare hudud-sharee qanoon ki riaayat karte huye aurto Ko ahtejaj me hissa lenenki bilkul ijazat hogi, jesa ke jihad vegera me mujahidin ki marham Patti,khana pakane ke liye nikalne ki ijazat he.
isi tarah roti rozi aur ilajo muaalaja ke liye nikalne ki iajazat he.

Balke ye kaha jaye ke mazkura tamam cheezo se zyada apna dini takhassoos-pehchan aur apne aap Ko mulk ka shahri sabit karna zaruri aur aham he.

(3)
gunzaiss he, behtar he ke khatam vagaira ka amal apne apne gharo me kare.

(4)
aayin-sanvidhan ki vo dafaat-dhaara jiska fayda kisi bhi tarah aqalliyato-laghumati Ko pahochta ho, ya vo dafaat-dhaaea-qalam aqalliyato Ko nuqsan se bachane ke liye ho, to jitna ho sake qanun ke dayre me rehkar unki hifazat hamare zimme sar’an lazim he.
Jis tarah apni jismani aur maali hifajat lazim he isi tarah naagrikta ke haqqon ke faydon ki hifazat, nij apne aapko nuqsan se bachana bhi lazim he.

(5)
Qanuni chara joyi aur pur aman ahtejaj ke zarye apni baat zarur rakhni chahiye.
و الله اعلم بالصواب

Mufti juned palanpuri Darul ifta Wal irshad kulaba bamba

Ilami baat (msj) sikhaana (felana) ibadat se behtar hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *