AAJ KA SAWAL No. 2550
Janazah ki namaz padhane ka sabse ziyadah haqdar kon hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Agar Islami Hukoomat ho to Namaz e Janaza ki Imamat ka avvaleen Haqdar Haakim e Waqt (badshah) hai, Fir uska Nayib, woh na hoto Qazi e Shahar Phir uska nayib aur Agar yeh log Mavjood na ho ya Hukoomate Islami na ho to Zindagi me jis Muhalle ki Masjid me Mayyit Namaz padhta raha ho aur us Masjid ke Imam ki Imamat se Khush raha ho to woh Imam vali (qareeb e maiyyat) ke Muqabila me avla aur behtar hai, Basharte ke woh ilm va Taqwa me vali maiyyat per favqiyat (ziyadati) rakhta ho aur agar Maiyyat is Imam se khush na raha ho ya us imam ke Muqabile me wali e Maiyyat ilm va taqwa me Afzal ho to fir wali hi ko avlaviyyat hasil hogi.
Tambeeh : Is tafsil se yeh bhi maloom ho gaya ke agar Maiyyat ki Namaz e janazah apne Muhalle ke Alavah kisi dusre Muhalle me ada ki ja rahi hai to is Muhalle ki Masjid ke Imam ko wali par Mutallaqan (har haal me) favqiyat aur afzaliyyat hasil na Hogi, Lihaza wahaan ke Imam ko wali ki Ijazat ke Bageir Namaze Janazah Nahi Padhani Chahiye, Balke vali ko Haq hai chahe vo Khud Padhaye ya Kisi Dusre se Padhvaye.
KITABUL MASAIL 2/82
AHKAME MAIYYAT SAFA 79
و الله اعلم بالصواب