NAMAZ PADHTE WAQT TALEEM KARNA
⭕AAJ KA SAWAL NO.2011⭕
Tableegi jama’at ki koshish se hamari masjid me baad namaz e isha ta’alim hoti hai ek do aadmi namaz lambi padhte hain aur kisi ki jama’at kaam ki wajah se chhut jati hai, kuchh hazraat huqqah aur radio (mobile) ki wajah se jama’at chhod dete hain, baad me aane wale hazraat pareshan hote hain kitab padhne se manaa karte hain unki riyaayat zaruri hai ya nahin?
🔵JAWAB🔵
حامد و مصلیا و مسلما
Jama’ati kaam karne se jamaati faidah hai,
Ya’ani usse deenee malumat hasil hoti hai, ek do aadmi lambi namaz padhte hain usse unka shakhsi (personal) faidah hai, agar woh isaar kare (qurbani de) ke shakhsi faidah par ijtimayi faidah ko muqaddam rakhe to yeh a’ala maqam hai uski surat yeh hai ke farz ke baad sunnat pad hkar ta’alim me shareek ho jayen unko ta’alim ka faidah pahonchega fir ta’alim ke baad apni lambi lambi namaz jab tak dil lage padhte rahen.
📗FATAWA MAHMOODIYAH
4/316