Waqt Par Qurbani Na Karna








Waqt Par Qurbani Na Karna

🔴 SAWAL No.2910🔴

1⃣ Agar Waqt Par Qurbani Naa Kar Saka To Ab Kya Hukm Hai..?

2⃣ Qurbani Waqt Par Naa Kar Saka, To Baad Me Bade Janwar Me Hissah Lekar Qurbani Kar Sakta Hai..?

🔵 JAWAB 🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

1⃣ Agar Waqt Par Qurbani Na Kee Jaa Saki Aur Janwar Pehle Se Mawjood Hai, To Usi Janwar Ko Zinda Sadaqah Karna Zaruri Hai, Aur Agar Janwar Mawjood Naa Ho, To Poore Bade Ya Chhote Janwar Ki Qeemat Ka Sadaqah Lazim Hai.

2⃣ Agar Qurbani Wajib Thi Aur Qurbani Ke Dinon Me Nahi Kiya, To Ab 1 Darmiyani Bakre Ki Qeemat Gareebon Par Sadaqah Karna Zaruri Hai… Ya’ani Ab Bade Janwar Me Hissah Nahi Le’Sakta, Balke Poore Janwar Ki Qeemat Deni Zaruri Hogi…

📗Mustafaad az kitabul masail 2/229)
📗HINDIYYAH 5/214

Note : Bande Ke Peero Murshid Hazrat Mufti Ahmad Khanpuri DB. Ne Kifayatul Mufti Aur Fatawa Mahmoodiyah Ke Hawale Se Likha Hai Ke,
Bade Janwar Ke Saatwen (1/7) Hissah Ki Qeemat Bhi Adaa Kar Sakta Hai.

📘Mahmoodul fatawa7/476

Lihaza Jiske Paas Wus’at Aur Farawaani Ho, Woh Ehtiyat Wale Pehle Qaul Par Amal Karen Aur Jiske Paas Ab Tangi Ho, Woh Dusre Gunjaish Wale Qaul Par Amal Kare.
و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *