NIKAH KE LIYE UMAR KI HADD

⭕AAJ KA SAWAL No. 2556⭕

Shari’at Kam umari me shaadi ki ijazat deti hai?
Ya uske liye koi Umr ki had hai?
Kis Umr nikah karna behtar hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Nikah ke liye shar’an koi mutayyan muddat nahi hai, balke umr ke kisi bhi hisse me nikah ho sakta hai. Albatta balaig hone se pahle ladka ya ladki khud nikah ka aqd nahi kar sakte. Balke unke wali (Waalid, ya Dada Vagairah) unki maslihaton ko madde nazar rakh kar nikah kar sakte hain,

Saheeh ahadees ke mutabiq ummul Mu’minin Hazrat Aaishah (Radiyallahu Ta’ala Anha) ka Nikah 6 saal ki umr me unke walid Hazrat Abubakkar Siddeeq (Radiyallahu Ta’ala Anhu) ne Rasulullah Sallallahu Alayhi va Aalihi Wasallam ke saath kar diya tha. Aur 9 saal ki umr me aap Radiyallahu Ta’ala Anha ki rukhsati amal me aai.

Lihaza jab ladka ladki dono baalig ho jaae aur huqooqe zavjiyyat ki adaaigi par qaadir ho jaae aur munasib rishta mil jaae to fauran nikah kar lena behtar hai. fitnon se bachane ka behtreen raasta yahee hai

(NOTE: India ke new law ke aetibar se 15 saal ki ladki ka nikah bhi qanoon bhi saheeh hai. wakil imran malik surat.)

Darul-Iftaa
Darul Uloom Devband

Maakhooz: Darul-Iftaa Darul Uloom Devband
Fatwa no.:- 42241
Maakhooz: Darul-Iftaa Jamiat-ul-Uloom-ul-Islamiyyah Banori Town
Fatwa No.:- 144008200635

و الله اعلم بالصواب

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *