Nikah Ke Waqt Bomb Phodna




Language

Click below for languages:

 

Nikah Ke Waqt Bomb Phodna

⭕AAJ KA SAWAL No. 33413⭕

Baz dulhe sunnat libas aur imamah pahente hain aur sunnat ke muwafiq masjid me nikah karte hain lekin masjid me jane se pehle aur masjid se nikalne ke baad bomb phodte hain, is ka kya hukm hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Sunnat libas aur imamah pahenna aur masjid me nikah karne se aam taur par maqsood ye hota hai ke sunnaton ki barkat hasil ho, lekin bomb phodna ye gair qaum ki tahzeeb aur tareeqah hai aur kayi gunahon ka majmooah hai, Allah Taala ke hukm ki khule aam na farmani hai, jis se hame sharee’at ne sakhti se roka hai, lihaza Nabi sallallahu alaihi wasallam ke tareeqe ka noor is ke gunahon ki nahoosat se jata rahega aur nikah me be barkati paida hogi aur masjid jo Allah Taala ka ghar hai us ke qareeb bomb phodna ye Allah Taala ke darbar ke aehteram ki dhajjiyan udaana aur gustakhi karna hai, kya dunya ke kisi haakim ke ghar ya office ke qareeb hee ham us ke hukm ki khule aam na farmani kar sakte hain? Bilkul nahi, to ahkamul haakimeen(sab baadshahon ke baadshah) ke darbar ke qareeb aisi harkat karne ki burayi aur bhi badh jati hai, lihaza aisee harkat karne walon ko rokna zarooree hai.

و الله اعلم بالصواب

📗(SURAH E HOOD PARA 12 AYAT 113 SURAH E JIN PARA 29 AYAT 18 SE MAKHOOZ)
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampura, Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *