Pehle Kurta Pahenna Sunnat Ya Salwar








Pehle Kurta Pahenna Sunnat Ya Salwar

⭕AAJ KA SAWAL No.3358⭕

Kapde pahene to pehle aam taur par izar-salwar pehle pehni jati hai lekin ek aalim se suna ke pehle qamees-kurta pahenni chahiye kya ye baat hadees se sabit hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Ji tabrani ki riwayat me hai jis ko allamah ibne hajar asqalani saheeh qarar diya hai.
(AL ISAABAH 7/120)
Anbiya alahis Salam tehband-lungi se pehle kurta pehente the.allamah manawi rahmatullahi alayhi is se sharah me likhte hai ke anbiyaa alahis Salam sarwal se pehle qamees pahenna pasand karte the aur us ko pehle pahenne ka aehtamam karte the isliye ke ye pure badan ko dhankta hai aur sarwal sirf niche ke hisse ko hee dhankta hai lihaza agar satar par kisi ki nazar padne ka khatra na ho to pehle kurta pahenna chahiye.

AL MUJAMUL KABEER 22/843

FAIZUL QADEER 2/532

USTAZE MUHTARAM HAZRAT SHAIKH TALHA MANYAR MAKKI SUMMA SURTI D.B. KI TAHQEEQ SE MAKHOOZ.

 

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *