POORE GHAR KI TARAF SE EK QURBANI
🔴Aaj ka sawal No.2887🔴
Ham joint family me rehte hain sab bachche,Bahu wagairah sath hain to ham par kitni qurbani wajib hai? poore Ghar ki taraf se ek bakra kafi ho jayega?
🔵Jawab🔵
حامد و مصلیا و مسلما
Baaz log ye samajhte hain ke ghar me ek qurbani ho jana kaafi hai, isliye log aisa karte hain k ek saal apni taraf se qurbani kar li, ek saal bivi ki taraf se kar di, ek saal ladke ki taraf se kar di, ek saal ladki ki taraf se kar di, ek saal marhoom walden ki taraf se kar di,
khoob achchhi tarah yaad rakhna chahiye k ghar ke jitne logon per qurbani wajib he ( jo jo 612.360 gram ki maaliyat-nisab ka malik ho) un me se har ek ki taraf se alag alag qurbani karna wajib he,
Maslan beta,Bahu ya miya’n bivi agar do no saahibe Nisaab ho’n to do no ki taraf se do qurbaniya’n laazim hain,
Isi tarah agar baap beta dono saahibe Nisaab hain to chahe ek saath ikhatte rehte ho magar har ek ki taraf se alag alag qurbani wajib hai.
📕AAP KE MASAIL AUR UN KA HAL,
📗MASAILE QURBANI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.