Sasti Ya Mahengi Qurbani Karna








Sasti Ya Mahengi Qurbani Karna

⭕AAJ KA SAWAL NO.3257⭕

1⃣ Sasti Qeemat Ki Wajah Se, Dusri Jagah Qurbani Kara Sakte Hain..?

2⃣ Dikhane Ke Liye Aur Logon Ki Tareef Haasil Karne Ke Liye Mehenge Jaanwar Kharidna Kaisa Hai..?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

1⃣ Sasti Qeemat Ki Wajah Se, Dusri Jagah Qurbani Karane Me Koi Haraj Nahi Hai. Lekin Maali Ibadat Me Jitna Zyada Rupiya Kharch Kiya Jata Hai, Sawab Utna Hi Zyada Milta Hai.

Baahar Hissa Dene Me Janwar Ki Khidmat, Janwar Ko Zabah Karna, sab se pehle us ka gosht khana Gosht Ki Taqsim Wagairah Hamari Jismani Koi Mehnat Nahi Lagti, Lihaza Ikhlas Ke Saath Apni Haisiyat Ke Mutabiq Achchi Qeemat Ki Qurbani koi majboori aur maslihat na ho to Apne makaam par Karni Chahiye.

2⃣ Baaz Log Dikhane Ke Liye Mehenge Janwar Kharidte Hain Aur Uska Charcha Karte Hain, To Iske Saath Sawab Ki Ummid Rakhna Dhoka Hai, Bajaye Sawab Ke Riyaakari Aur Shohrat (Naam) Karne Ka Gunah Hoga.

Allah Ke Yahan Wahi Amal Maqbul Hai, Jo Khalis Allah Ki Raza Aur Usko Khush Karne Ke Liye Kiya Jaye.

📗Mustafad kitabul masail 2/219

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *