Assalamualaikum
Meri biwi ko uterus/Gharbhasay me kuch problem ho gayi thi
Tab 3 month se uski dawai chalu he.
Uss dawai k wajah se pichle 2 mahine se usko menses,napaki, bleeding spot 12-14 din rehti he, usme 5-6 din baad pure din me sirf ek bleeding spot / dhabba lagta he lekin wo 12-14 din chalta he.
Iss dawai saru karne se pehle uska 5-6 din ka maaamul tha.
Sawal no 1: wo kitne din baad pak hogi means namaz/Quran padh sakegi? 6 din ya 10din
Sawal no 2: Hum log haj pe jaane wale he to wo in dewno me kitne din baad tawaf kar sakegi?
Sawal no 3: Agar tawaf k dauraan 12 deen baad bhi spot aa jay to uska kya hukm he?
حامدا و مصلیا و مسلما
Jawab 1.shareeat me hai ke zayada se zayada 10 din hee hote hai aadat 5-6 din ki thi aur aadat se zayada khoon 10 se bhi zayada aa Raha hai pata ye chala aadat badli nahi hai balke bimari lag gai hai lihaza Woh 6 din baad Pak shumar hogi 6 din ke baad ka khoon bimari ka khoon hai woh Paki ki haalat hai.
Jawab.2.
6 din baad.
Jawab 3.
6 din baad jab bhi aaye Koi haraj nahi wazu kar ke tawaf jari rakhen.
📘 KITABUL MASAIL 1/216 SE MAKHOOZ