SAWAL
kya Qur’an e karim ki tilawat mobile, tablet ya computer ki screen par karna jaiz he ? is surat me bhi wohi aadab e tilawat honge jo mushaf-Qur’an me dekh kar padhne ke waqt hote hai.?
JAWAB
Mobile wagairah ki screen par agar Qur’an e karim zaahir na ho (open na ho) to usko (Mobile wagairah ki screen ko) bil-ittifaq Ger mutawazzi (bagair wuzu ke) ya junubi (napak) haath lagaa sakta he.
Lekin agar Qur’an e karim ka software open ho or uske nuqush-alfaaz screen par moujud ho to junubi ya gair mutawazzi us mobile ya screen ko chhu sakta he ya nahi
usme 2 aqwal he:
(1) Mobile, computer tablet ki screen ko us waqt chhuna jaiz nahin.
unki dalil yeh hai ke yeh us haalat me mushaf (Qur’an) ke maanind hai, aur irshaade rabbani he.
لا يمسه الا المطهرون۔”
“usko nihayat paakizah log (gusal or wuzu dono ho to) hi chhu sakte he”
uske qaayil Hazrat Aqdas shaikh Mufti Ahmad khanpuri db. hai, aur Darul uloom ka bhi yahi fatwa hai,
neez “Al masailul muhimmah fima-batalat bihil aammah” naami kitaab me bhi yahi mazkur he.
(is qaul me ehtiyat he)
(2) sirf jis screen par Qur’an e karim ke alfaz o nuqush zaahir ho rahe ho uska chhuna jaiz nahin, mobile aur computer ke dusre parts ko bila wuzu bhi chhu sakte he.
un hazraat ka kehna he ke yeh Qur’an e karim ke hukm me nahin hai, aur agar hai bhi to mobile ke dusre parts Gilafe munfasil (alag juzdan) ke hukm me hoge.
Mulaahazaa farmaiye
Jawab: …waazeh rahe ke jab Qur’an e karim mobile ya memory card ke ander ho yani usko screen par khola na gaya ho to us waqt chunke Qur’an e karim huruf o nuqush ki surat me mojud nahin,
isliye usko haath lagaane ke liye bawuzu hona zaruri nahin.
aur jab mobile ya memory card ke hafze me mojud Qur’an e karim ko screen par khol liya jaye to us waqt chunke screen par mojud nuqush Qur’an e karim ke alfaaz par dalaalat karte he,
us waqt screen par haath lagaane ke liye wuzu zaruri hai aur is surat me chunke Qur’an e karim ka wohi hissa huruf ki shakal me hai jo screen par nazar aa rahaa hai,
Lihaza screen ko haath lagaana tahaarat ke bagair jaiz na hoga,
aur screen ke alaawah mobile ke baqiya hisso ko haath lagaana jaiz hoga. aur chappal jute pahankar bhi tilawat kar sakte hai.
Albatta azmat ka taqaaza or munasib o ahwat ye he ke baqiyyah hisso ko wuzu ke sath chhuaa jaye. chappal, jute utaar diye jaye.
FIQAH ACEDMI KA 23 WAN SEMINAR KA FESLA.
DARUL IFTA JAMIA BINORIA ALSMIYA KARANCHI
SERIAL NO.10839