Qurbani ka janwar kho jana

sawal

Qurbani ka janwar kho jana

Kisika janwar agar gum ho gaya tha, usne dusra kharida, fir woh pehle wala janwar wapas nil gaya to kya hukm hai ?

Jawab

Iski kai sooraten hain

(a) agar woh aadmi maaldaar hai, ya’ani usper qurbani wajib hai, aur usne dusra janwar kharida tha, fir pehle wala janwar mil gaya to woh dono me se jisko bhi chahe zabah kar sakta hai, aur dusre janwar ko apne kaam me laa sakta hai aur bech bhi sakta hai,

(b) agar woh aadmi garib hai aur usper qurbani wajib nahin thi, aur usne dusra janwar nahin kharida to sirf isi janwar ki qurbani lazim hai (jo wapas mil gaya)

(c) aur agar garib aadmi ne dusra janwar kharid liya (jo usper dusri baar kharidna wajib nahin tha.aur nafal kaam shurooa karne se pura karna zarooree ho jata hai) fir pehle wala janwar mil gaya to ab is garib aadmi ko dono janwar ki qurbani karna wajib ho gaya.isliye aqalmandi yahi hai ke khareedte waqt ye niyyat kare ke me us gumshuda janwar ke badle me khareedta hun agar woh mil gaya to usee ko zabah karunga to woh gum shudah janwar mil jayega to sirf ek hi janwar ko zabah karna wajib hoga.

Fatawa mahmoodiyah 17/316 aur

Kitabul masail 2/226 se makhooz

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *