QURBANI KE JANWAR KA AIBDAR HO JANA
🔴SAWAL NO.2898🔴
1⃣
Qurbani ka janwar khareeda us waqt wo saheeh saalim tha baad me aib peda hogaya to kya hukm hai ?
2⃣
Janwar saheeh tha lekin qurbani ke waqt uchal kud me us me koi aib peda hogaya to kya hukm he?
🔵jawab🔵
1⃣
Agar khareedte waqt janwar saheeh saalim tha, baad me aib peda hogaya to maaldaar per us ki jagah doosra tandurust, be aib janwar qurbani karna zarooree he.
Aur agar faqeer hai- aesa aadmi jis par qurbani wajib nahi thi woh to wahi janwar ki qurbani kar sakta hai.. doosra lana us per zaruri nahi..
2⃣
Jo janwar pehle se saheeh salim tha lekin qurbani ke liye koshish karte waqt uchal kud me aib ho gaya to us ki qurbani me koi haraj nahi (maaldaar, garib sab ke liye ek hee hukm hai)
📗Kitabul masail 2/240
✏Mufti Imran Ismail Memon sahab
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India