Sawal
Qur’bani ke zabah kiye huwe halal janwar me kitni aur kon kon si cheezon ka khaana haram hai ?
Jawab
Qur’bani ke zabah kiye huwe halal janwar me 7 cheezen khana makruhe tahreemee yani haram ke qareeb hai.aur 1 cheez bilkul haraam hai.
(1) nar janwar ki peshab ki jagah,
(2) maadah janwar ki peshab ki jagah,
(3) peshab ki theli,
(4) pitta (kadwe pani ki theli)
(5) dono kapuriye:khusyatain:sufed gurde jo gair khassi janwar me hote hai
(6) gudood yani jame huwe khun ki guthli- gaanthe jo baz janwar ke gosht me hoti hai.warna gudah jo nalli me se nikalta hai woh to halal hai
(7) haram magz jo pusht-put aur gardan ki haddi ke darmiyan sufed dori jaisa hota hai
(8) behnewala khun qatee haraam yani quran se hi haraam hai jo khun kate huwe gosht aur qeeme-kheeme me hota hah woh pak hai kyun ke woh bebnewala nahi hai.
Fatawa mahmooduyyah dabhel 17/297 se 302
Bahawala shami
Kitsbul khunsa ,masaile shattah 6/749 saeed)