Qurbani Kis Par Aur Kitni Qeemat Par Wajib..?
⭕AAJ KA SAWAL NO.2881⭕
Qurbani Kis Par Wajib Hai Aur Is Saal Uska Nisab Kitne Rupiye Par Banta Hai.? Poori Tafseel Batayen.?
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
Har Woh Shakhs Jo Aaqail, Baalig, Muqeem Ho Aur Uske Paas Qurbani Ke Dinon Me Yaani 10 Zil-Hijjah Se 12 Vi Zil-Hijjah Ke Gurub E Aaftab Tak Saade Bawan Tola Chandi Yani 612 Gram., 350 Milli Gram Chandi Ki Qeemat 👉(9 Zee Qadah 1444 Hijri Angrezi Ta’reekh 30-5-2024 Ko India Me Nisab 👉44450 Rs.) Ka Tijarati Aur Zarurat Se Zaaid (Extra) Maal Saamaan Qarz Ki Adaygi Ke Baad Maujood Ho,
Yaa 12 Zil-Hijjah Ke Gurub Aaftab Se Pehle Itna Maal Kahee Se Aajaye, To Us Par Qurbani Wajib Hai.
NOTE :
1. Qurbani Ke Nisab Par Saal Guzarna Zaruri Nahin.
2. Qurbani Wajib Hone Ke Maal Ka Tijarati – Bechne Ki Niyyat Se Khareeda Huwa Hona Shart Nahi. Zaroorat Se Zaid Hona Hee Kaafi Hai.
3. Qurbani Wajib Karne Ke Nisab Me, 3 Jodi Se Zaaid Kapdon Ko, 2 Jodi Se Zaaid Joote, Chappal Ko, Showcase Aur Uske Zeenat Ke Tamaam Saamaan Ko, TV, Extra Plot, Flats Wagairah Jo Bechne Ki Aur Istemal Ki Cheezen Nahin, Un Tamam Ki Qeemat Bhi Shumar Ki Jayegi.
📗 KITABUL MASAIL 2/300
📘AHSANUL FATAWA SE MAKHOOZ.
و الله اعلم بالصواب
✏ Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaad-E-Daarul Uloom, Rampura Surat, Gujarat, India