Har musalman aqil balig mard wa aurat jis ke paas qurbani ke din 10,11,12, zil hajjah me nisaab ke baqadr ka maalik ho qurbani wajib hai.
Nisaab: 52.5 (saade bavan tola), 612 gram 35 mili gram chaandi (silver)
ya uski aaj 7/9/2015 ko us ki qeemat 20600 rs.ka koi bhi maal,saaman qarza ho to ada karne ke baad bachta ho
Ya thoda thoda sona, chaandi, cash rupiye, zarurat se ziyada saaman, tijarat aur gaire tijarat ka maal…. in chizon me se kisi bhi do chiz ko milaya jaye to uski qeemat saade baavan tola chaandi ya 20600 rs.ko pahuch jaye tab bhi qurbani wajib hai.
Maslan kisi ke paas 1 tola sona hai ahr 50 rs. Cash hai to in dono ki qeemat 52.5 tola chaandi se bhi ziyada hogi, lihaza qurbani wajib hogi,(aajkal bahut see aurton ke paas itna to hota hee hai) haan sirf sona hi ho, sath me kisi qism ka maal bilkul na ho to 7.5 tole se kam ho e ki soorat me qurbani wajib nahi hai
MASAILE QURBANI
AHSANUL FATAWA SE MAKHOOZ
IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA