Raat Ko Jaagna Kab Haraam?
⭕AAJ KA SAWAL No.3338⭕
Aaj kal ummat me raat ko der se kahin jakar khana,raat ko der tak mashware ya baatchit karna ya koi jaiz khel khelna wagaira jaiz kamon ki wajha se Fajr ki namaz ke liye aankh nahi khulti aur namaz qaza ho jati hai aesi surat me raat me der tak jagna kaisa hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Fiqah ka Quraan aur hadees se banaya gaya mash-hoor qaida hai ke Har woh jaiz kaam jo haraam kaam tak pahonchne ka sabab aur zariye Ban jata to woh jaiz kaam bhi haraam ho jata hai.fajr ki namaz qaza kar dena haraam hai
Lihaza puchhi hui surat me ye tamam jaiz kamon ki wajha se jis ki Fajr me aankh na khulti ho aur namaz qaza ho jati ho us ke haq me ye tamam jaiz kaam bhi haram ka sabab hone ki wajha se haraam ho jayenge lihaza raat ko jald sone ki fikr karen aur raat wale kaam fajr ki namaz baad kar lewe.
– ما أدى إلى الحرام حرام:
فكل وسيلة تؤدي إلى ما حرم الله تحرم، من باب سد الذريعة
📗QAWAIDUL FIQAH
ويؤخذ من كلام الزيلعي أنه لو كان لحاجة لايكره وإن خشي فوت الصبح؛ لأنه ليس في النوم تفريط وإنما التفريط على من أخرج الصلاة عن وقتها كما في حديث مسلم، نعم لو غلب على ظنه تفويت الصبح لايحل؛ لأنه يكون تفريطًا، تأمل”.
📕SHAMI
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India