Safar Me Kis Ki Niyyat Ka Aetibar | 1492

Safar Me Kis Ki Niyyat Ka Aetibar | 1492

 

Hamari Surat Ki Musafir Jamaat Ko Bihar Ke Ek Shahar Me 40 Din Ka Rukh Diya Gaya Hai, Kabhi Imam Sahab Nahin Hote To Mujhe Wahaan Ki Masjid Wale Namaz Padhane Ki Darkhast Karte Hain.

To Hamare Ameer Sahab Mujhe Zohar, Asr, Isha Ki Namaz Jis Me Qasr Hoti Hai, Manaa Karte Hain, Ke Ham Musafir Hain, Mene Muqeem Ki Niyyat Nahin Ki Hai.

 

To Kya Ham Ameer Ki Niyyat Ke Taabe Ho Kar Musafir Samjhe Jayenge? ‘Safar Me Kis Ki Niyyat Ka Aetibar’

 

Jawab  حامدا و مصلیا و مسلما

 

“Safar Me Kis Ki Niyyat Ka Aetibar”:  Mazkoorah Surat Me Aap Ki Jamat Muqeem Ho Gayi Hai, Aap Ki Jamaat Ke Us Ameer Ki Niyyat Ke Tabe Nahin Honge, Balke Aap Ki Poori Jamaat Bihar Ke Us Shahar Ke Ameer Ya Mashwarah Ke Faisal Ke Tabe Hogi.

Aap Ke Ameer Sahab Ne Musafir Ki Niyyat Ki Hai Uska Aetibar Na Hoga.

و الله اعلم بالصواب

Kitabul Masail 1/558

Alamgiri 1/139 Se Makhooz

 

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chisti.

Ustaad E Daarul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *