Shaaban ke maheene me 14 shaaban ki ibadat aur dusre din ke roze ke alawaa aur kon kon se kaam karne chahiye?
SAWAL
Shaaban ke maheene me 14 shaaban ki ibadat aur dusre din ke roze ke alawaa aur kon kon se kaam karne chahiye?
JAWAB
Hazrat anas ibne malik RADEEYALLAHU ANHU se riwayat hai ke huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ke buzrug sahaba shaaban ka chand dekhkar
1.quraane kareem zayada parhte the.
2.apne maal ki zakat nikalte the take gareeb aur miskeen log faidah uthaa saken aur ramazanul mubarak ke roze rakhne ke liye un ka koi zareeah ban jaye.
3.haakim log qediyon ko bolakar un me jo saza ke laiq hote the un par saza jaree karte the aur baqee qedi rihaa kar diye jate the.
4.karobaree log isee maheene me apna qarzaa adaa kiya karte the.
5.dusron se jo kuchh wusool karna hota tha wusool kar liya karte the (jese gair muslim ki dekha dekhi baaz musalman in kaamon ko diwali me karte hai)
6.ramzan ka chand nazar aane par log gusal karte aur aetikaaf me beth jate the.
?masaile shabe baraat wa shabe qadr safa 14
?bahawala gunyatut talibeen 356.
✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA