SHAUHAR KA 4 MAHEENE DOOR REHNA,BIVI KA ZINA ME MUBTALA HONA
⭕AAJ KA SAWAL No. 2969⭕
A.shauhar ko apni bivi se kitne maheene door rehne ki sharee’at me ijazat hai ?
B.Shauhar watan se kayi mahine door rehne ke bawajood na aata ho to bivi kya kare?
agar woh bahot door hai aur zyadah waqt guzarne ki wajah se bivi zina me mubtala hui to us ka gunah shauhar ko hoga?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Hazrat umar raziyAllahu anhu ne jab apne ilaaqe ka jaizah lene ke liye gasht kiya to jihad me jane wale apne shauhar ki yad me betab aurat ke ashaar sun kar apni beti Hazrat Hafsa raziyAllahu anha ko puchha: bivi apne shauhar ke bagair kitne maheene sabr kar sakti hai? to unhone arz kiya 4 maheene. itna sun kar ye farman jari kar diya ke jo bhi shadi shuda fauji hain unhen 4 maheene baad apne ghar jane ki ijazat hai.
Agar shauhar ko aane ki qudrat ho aur bivi aane ka mutalaba kare phir bhi na aaye aur 6 maheene guzar jayen to bivi qazi- (Darul qaza ya imarate islamiyah ka islami judge) ke pas nikah faskh (cancel) karwa sakti hai.
Shauhar agar bivi ke mizaj ko janta hai aur us ke mutalabe par qudrat ke bawajood apne watan na gaya aur bivi zina me mubtala hui to us ka gunah shauhar ko bhi hoga. bivi par us haalat me bhi apni pakdamani ki hifazat farz hai lihaza woh bhi gunah se bari na hogi.
📕MAHMUDUL FATAWA JILD 5/ 123 SAFA
📙BA HAWALA SHAMI
📗NIKAH KE MASAIL WA TALAQ KE AHKAM SAFA 204
BA HAWALA SHAMI WA
FATAWA RAHEEMIYAH 3/124
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India