SHIRKAT INVEST KA NAFA FEESAD SE LENA
Sawal
Baz company apne karobar me invest aur shirkat ki dawat deti hai aur kehti hai ke aap ki raqam par 15% se 20% tak ham nafa denge to kya aisa nafa jo fix nahi hai le sakte hain ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
ye munafa agar karobar ke majmooi (total) munafe ke bajaye lagayi hui raqam ka 15% se 20% hota hai to ye bhi ek tarah ka fix nafa hi hai jo sood hai aur us ka len den jaiz nahi
Jaiz soorat sirf ye hai ke Jo shakhs jitni raqam lagaye woh karobar ke nafe nuqsan dono me shareek ho aur Company me invest karne ka nafa company ke poore invest ki jitni feesad raqam us ne lagayi hai nafa utna hi feesad (percent) wusool kare. yani copany jitna nafa kamaye us me se jitne percent ki partnership tay hui ho utna percent us nafe me se wusool kare.
📕FATAWA USMANI 344 SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.