AAJ KA SAWAL No. 2745
Bivi shohar se kai salon se door apne maa bap ke ghar hai to kya khud ba khud talaq ho jati hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Bivi shohar se chahe jitne bhi sal door rahe jab tak shohar talaq na de khud ba khud talaq hoti nahi hai han agar shohar qasam khaye ke 4 mahine tak tere qareeb nahi aawunga aur fir us qasam ko puri kare to us se ek talaqe baain yani nikah khatm ho jata hai.aesi qasam ke bagair Chand sal se talluq na hone se bhi nikah baqi rehta hai.
SHARHE WIQAYA SE MAKHOOZ.
و الله اعلم بالصواب
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
Sawal- Do bhaiyon m 30 saal pehle jameen ka watbara gaon k wado ki majoodgi m goli daal kar hua tha jiske hisse m jo aayega wo hissa uska us time dono bhai razi the us fesle pr ab zameen ki qeemat jiyada ho gyi h ek bhai qeemat jiyada h doosre ki usse kuch kam to doosra bhai usko dowara se batwaare ko bol raha h kiya sahi kr raha h .???
Jameen ka batwara kis hisab se huwa tha? wo clear nahi he, agar wirasat ke hisab se huwa he to us jameen ke tamam wariso ka list lekar apne qareeb kisi Darul ifta me jakar hisse karwaye, gaon walo ki mojudgi ka etebar nahi hoga, shariyat ka hukm he, gaon walo ka nhi. shukriya.