SOOD HRAAM HONE KI HIKMATEN

SOOD HRAAM HONE KI HIKMATEN

Sawal

Sood kyun haraam hai? Uske dunyavi nuqsanat kya kya hain?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Uske dunyavi nuqsanat bahot se hain jinme se kal 6 bataye the mazeed hasbe zail hain.

7. Fuzool karchi karna Har woh shakhs jiski kamayi (income) bila mehnat ki ya haraam ki hogi woh fuzool kharchi (apne maal ko rasmo riwaaj aur dikhlawe) me bagair faidah ke kamon me khoob udayega.

8. Nikammah (sust) ho jaana
Jisko nafa bagair mehnat ke baithe baithae kamane ki aadat pad jaati hai woh apna hunar (fan) bhool jaata hai, fir usse mehnat ka kaam nahin hota uski tabiyat sust ho jati hai.

9. Mehngai badhna
Bade bade taajir (businessman) ko badi badi loan milti hai chhote taajir ko badi loan nahin milti isliye bade taajir bazar se puraa maal utha lete hain fir apni manmaani qeemat se bechte hain, kyun ke usko itna lamba fixed nafa (sood) chukana hai isliye mahenga bechna zaruri ho jaata hai.

10. Bakheel (kanjoos) ho jaana
Kyun ke usko duniya, mulk, shahar, ke sab se ziyadah maaldar aadmi me jo number hasil hai woh us unche no. Se niche no. Par na aa jaae isliye yeh itne maaldar, ziyadah bank balance ke maalik hone ke bawajood lambi raqam kabhi bhi hospital ya gareebo ke faidah ke liye nahin dete.

(Baaqi insha’Allah kal)

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab

🕌Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *