Company Aur Bank se Gaadi Kharidna
Sawal
Aaj kal Aam tor per Gaadiyan Sood per Qarz lekar Kharidi Jati he Iske liye Log Banko se Qarz lekar Gaadi Kharidte he, Banko Ke Alavah Dusri Baaz Companiya bhi Aesi he jo Iske Liye Makhshoosh he,
Magar Bank Me Aur in Companiyon me Do Farq hai, Ek ye ke Bank se Hame Khud Pese Lekar Gaadi Bechne Walo ko Dena Padta he Aur Iske Bilmuqabil Companiyo ka Hal ye he ke Sirf Unse Ye Keh dena kafi he ke hame Gaadi ki zarurat he wo log Khud Gaadi kharidkar Hame Dete he.
Dusra Farq ye he ke Bank se pese lenake Ba’ad Qarz ki Adaygi me Jitni ta’ajil hogi Utni hi Sood ki Miqdar me Kami Hogi, Aur Jitni Adaygi me Ta’khir hogi Utni hi sood ki Miqdar Badhti Chali Jaygi.
Uske Bilmuqabil Company ka Hal ye he ke voh log Pehle hi se Bata dete he ke Tumko itni Raqam Bharna hoga aur Itni Muddat me Bharna hoga aur who bhi Qishtvar har Mahina Itna Itna Bharna Hoga chahe tum Muddat Muaiyyina se Pehle Bharo ya Waqt per bharo Raqam ki Miqdar me Koi Farq Nahi Hoga.
To Kya is surat me company se Gadi Kharidna Jaiz hoga?.Kyunki Isme Bazahir to Surat kharedne ki Nazar aati he. Company ki Taraf se gadi Aur Hamari Taraf se Peaise.
Aur Hukumat ne bhi Apne Zati Peaiso se Naqad Gaadiya kharidne per Pabandiya Laga rakhi he.
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Compani se Gadi kharidne ki jo surat saval me Mazkoora he wo Shara’an Jaiz aur Durust he. Aur isme Shara’ee Aetebar se Sood Lazim Nahi aata. Iske Bar Khilaf Bank ke zariye Gaadi Kharidne me Sood Ka Irtekab Lazim Aata he, is liye Bank Wali Surat Chhodkar Jaiz surat Ikhtiyar ki Jaye. Fa
و الله اعلم بالصواب
📗MAHMOODUL FATAWA 6/46-47
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India