SUHAG RAAT ME 2 NAFAL

⭕AAJ KA SAWAL NO.190⭕

Suhaag raat me dulha ko us ke dost masjid me le jaakar ta us ke room me do raakat zaroor pafhne ki takeed karte hai kya ye do nafl saabit hai?

🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما

Ye do nafl sabit nahi us ka itna aehtamaam karna ke us ko farz aur wajib ka darja dena saheeh nahi asal to dulhe aur dulhan par 5 waqt ki farz namaz zaroori hai aksar jode us ki parwah nahi karte na un ke sathi us ki takeed karte hai ye tareeqa qabile islaah hai albatta bivi ke aane ke baad us ko apne pichhe do rakat padhwana aur duaa karna sabit hai.

JAMUL FAWAUD 1/339

BAHUSHTU JAHEZ SAFA 136

و الله اعلم بالصواب

🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
RABEEUL AWWAL1441 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *