Neera (Khajoor ke darakht se nikalne wala ras) pine ka kya hukm hai subah me us me Nasha nahi hota Jaise jaise Suraj ki roshni badhti hai us me tezi aur nash aata jata hai to is ka Pina pure din me kabhi bhi taqat ya maze ke liye kaisa hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Hazrat hakeemul ummat Maulana Ashraf Ali thanvi rahmatullahi alayhi tahreer farmate hai ke us me agar na to Nasha ho aur ye kaam dusron ke liye burai tak pahonchane ka zariya na ho to jaiz hai.
IMDADUL FATAWA 4/113 ZAKARIYA
Hazrat mufti ismail kachholvi damat barkatuhum tahreer farmate hai ke Neera nash lane wali cheez nahi hai isliye us ke pine me koi haraj nahi hai.nasha aata ho to us Surat me us ka peena Na jaiz kehlayega.
FATAWA DEENIYAH GUJRATI 4/117.
Asal daromadar us me Nasha paida hone na hone par hai us me jhaag aur tezi-khatta pan aa jana Nasha paida hone ki alamat hai lihaza agar nasha na aaya ho to pure din me kabhi bhi pee sakte hai.