AAJ KA SAWAL NO.696
TARAWEEH ME RUKOOA KA INTIZAR: Taraveeh me jab hafiz niyat bandhkar Qirat karte hai to aksar namazi pichhe yuhi bethe rehte hai, ya tahalte rehte hai, aur jese hi hafiz ruku me jata he,ye log jaldi jaldi niyat baandhkar namaz me shamil ho jate hai,,, inka ye fayl( Kaam ) kesa he????
JAWWB
حامدا و مصلیا و مسلما
★ Taraveeh me ek baar poora Quran majeed sunna Zaroori he, aur sunnate moakada he,
⇨Jo log imam ke saath shareek nahi hote unse utna hissa Qurane majeed ka Faut ho jata he, isliye ye log na sirf ek sawab se mahroom rehte hai balki nihayat makrooh kaam karte hai,
→kyuki inka ye kaam Qurane Kareem se eraaj-munh modne ki tarah he aur ye susti ka tareeqah qurane kareemn ke mutabiq munafiq ka tareeqah hai.
ۚ وَ اِذَا قَامُوْۤا اِلَی الصَّلٰوۃِ قَامُوْا کُسَالٰی ۙ یُرَآءُوْنَ النَّاسَ وَ لَا یَذْکُرُوْنَ اللّٰہَ اِلَّا قَلِیْلًا
.”jab woh namaz ke liye khade hote hai to susti se khade khote hai logon ko dikhawah karte hai aur allah ka zikr thoda hee karte hai.
📘SURAH E NISAA AYAT NO.142
📗 Aapke Masail aur unka Hal, 3/ 64
و اللہ اعلم
✏ANSAR AHMAD COTA PANJAB
✒TASDEEQ WA IZAFA IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA