VALENTINE DAY KI ASAL HAQEEQAT AUR ZIMMEDARI

VALENTINE DAY KI ASAL HAQEEQAT AUR ZIMMEDARI

AAJ KA SAWAL NO.1639

Valentine’s Day ki haqeeqat kya hai?
Is ki shurooat kab se hui?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Is ki tareekh me bayan kiya jata hai ke aaj se dedh hazar saal pehle sant valentine naami ek isai padri tha Us Ne Behayayi ki Saari Haden Paar Karte hue Else Ladki Zina(sex) Kiya tha.

isi Baat par England Ki Hukumat ne 14 February ko usey Fansi ki saza di.

us ki barsi pehle mazhab taqreeb huwa karti thi magar baad me Is Din Ko England ki Noujawan Nasal Ne uski Yaad Mein manana Shuru kar diya,

aur sant valentine un ki ideayal ban gaye.

(SEH ROZA DAWAI 22 FARWARI 2000 ISWI)

Upar dee hui baton se maloom huwa ke ye mazhabi tehwar hai aur Afsos Ki Baat ab musalmano ne bhi is Behaya aur Besharam Nasal Ki Tarah isko Manana Shuru kar diya.

Yaad Rakhen!

Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam
Ki Hadees Ka Mafhoom Hai

Jo Shakhs jis Qoum ki Mushabihat(Tariqe) Ikhtyaar Karega Wo Unhi Mein Shumar Hoga

Yaani Baroze Qayamat Unhi Jaisa Hashr kia Jayega.

lihaza apne iman aur apne ghar ke navjawano ke iman or pakdamani ki hifazat kare,

un ko samjhaye aur kal ki raat bahar na jane de apni jawan ladki aur bahen par khas nigrani rakhe, woh kisi galat talluq aur hawash ka shikar na bane.

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :

8 JUMAD AL UKHRA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

[button color=”red” size=”big” link=”https://www.aajkasawal.in/subscribe-kare/” icon=”” target=”true”]SUBSCRIBE TO AAJ KA SAWAL[/button]

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *