VALENTINES DAY KI KHARABI

VALENTINES DAY KI KHARABI

AAJ KA SAWAL NO.1638

14 February ko ladka ladki aik dusre ko, aur bohat saare hadiye dete hai, aik dusre ke hatho me hath daal kar, aur gale lagkar,

apne khushi apne pyar ka izhaar karte hai, aur bhe bohat saare behayai, fahashi ke kaam karete, shar”an aur akhlan ye kesa hai???

Jawab:

حامدا و مصلیا و مسلما

Valentines day manana gair islami hai,
Quran majeed ke roshni me iska hukam jan lena chahiye irshade khudawandi hai

ولاترکنوا إلى الذين ظلموا فتمسكم النار

Aur tum in logo ke taraf milan ikhteyar mat karo jinhone apne upar zulm kiya, kahi aisa naho ke tum bhe jahannam ke mustahiq ban jaao,

Isme qaable guor ye hai ke aaj ummate Muslimah inke rang me range jaa rahi hai agarche wo sharee atebaar se najaiz wa haram hi kyu na ho, lekin hamare navjawan Bha’iyo aur behno ko iska hosh nahi hai,

school aur colleges me har saal 14 February ko valentines day ke naam se aik jashn manaya jata hai jisme apas me students aik dusre ko gulab ka phool wagera pesh kar ke mohabbat ka izhar karte hai, ye valentines day manana shar’an Najaiz wa haram hai,

Ye valentines day is wajah se bhe mana hai ke is mouqe par tarah tarah ke gair shar’ee aur haraam wa najaiz umoor ka irtekab kiya jata hai

badnazri, bepardagi, fahhashi, wa be hayai ajnabi ladke ladkiya ka apas me ikhtelat hasi mazaq boos wa kinar, neez najaiz wa haram taulqat ko mazboot banane ke liye aik dusre ko tohfe tahaif ka lenden iske nateje me zina, ka pesh aana ya asbabe zina ka wajood hota hai,

Nabi kareem sallallahualyhi wasallm ne irshad faramya (mafhoom)

tum me se kise ke sar me lohe ke sui ghop de jaye,, to ye iske liye behtar hai,

ba nesbat iske ke wo aise aurat ko chhuye jo iske liye halal nahi,

معقل بن یسار رضی اللہ عنہ
رسول اللہ صلی علیہ وسلم قال:أن يطعن في رأس أحدكم بمخيط من حديد خير له من أن يمس أمرأة لا تحل له (الطبرانی فی الکبیر ٢١٢/٢۰)

in tamam umoor ke wajah se is tehwar ya is din ko manana to door, aik ghairat man musalman momin mard aurat ke liye tasawur karna bhi mushkil hona chahiye, aur in tamam umoor ke najaiz wa haram hone me koi shak wa shuba baqi nahi rehta.

MUFTI SIRAJUL HAQ SAADADTI MEWATI DB
Khadim jamiasaadat-e-darain meoli nuh mewat haryana

TASDEEQ WA TASHEEL
IMRAN ISMAIL MEMON SURAT

[button color=”red” size=”big” link=”https://www.aajkasawal.in/subscribe-kare/” icon=”” target=”true”]SUBSCRIBE TO AAJ KA SAWAL[/button]

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *