VALENTINE’S DAY MANAANA

VALENTINE’S DAY MANAANA

Aaj ka Sawal number 1637

Valentine’s day manaana kaisa hai ?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Valentine’s day manaana Gair Islaami hai.

Gair-muslim ke tehwaar saheeh maankar ya ta’azeem ke iraade se manaana aur un ke tareeqe apnaana kufr hai.

Kai baar shaitaan Musalmano ko nafs ke zariye behkata hai aur hume lagta hai ke Gair-muslimo ke tehwaar aur tareeqa achha hai.

Aaj ke daur me gairo ke saath musalman ladke aur ladkiya bhi Valentine’s day manaate hain aur wish karte hain, Haath milaate hain aur Gale milte hain aur Rose, Chocolate, Card aur Gift dete hain. Ye sab behayaai ke kaam hain aur gunaah e kabirah hai. Aur Gift wagairah dene me maal zaaya karna hai aur Fuzul kharchi karna bhi gunaah hai.

Aur kisi ko shehwat (lust) se dekhna ya chhuna ya is ke baare me baat karna ye sab behayaai aur bad-nigaahi aur aaza-parda ka zina-bad feli ka gunaah hai. Aur kuchh log to zina haraam sex bhi karte hain. Kisi se bagair nikaah ke sex karna ‘Zina-bad feli hai aur gunaah e kabeerah hai.

Ab hame ye tay karna hai ke hume Islaami tareeqa apnana hai ya gairo ka?

Pyare Aaqa Sayyed ul ambiya Muhammad Mustafa ﷺ ke pyare ummatiyo, Gairo ke tehwaar aur tareeqe kitna bhi achhe lage lekin musalman ko sirf apne mazhab ka saheeh tareeqa apnana chaahiye aur in sab gunaaho se bachna chaahiye taake ALLAH aur us ke Rasool ﷺ raazi ho.

Aap log ye sab baate apne dosto ko bataa kar unhe bhi in behayaai, ayyaashi aur fuzul kharchi aur gunaaho wale tehwaar manane se door rehne ke liye samjhayen.

Kisi ko nek amal karne ke liye kehna ya gunaah se bachne ke liye kehna imani fareeza aur bahot badi neki hai.

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
07 JUMAD AL UKHRA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

[button color=”red” size=”big” link=”https://www.aajkasawal.in/subscribe-kare/” icon=”” target=”true”]SUBSCRIBE TO AAJ KA SAWAL[/button]

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *