Sawal
Valentine’s day manaana kaisa hai ?
jawab
Valentine’s day manaana Ghair Islaami hai.
Ghair-muslim ke tehwaar sahi maankar ya ta’azeem ke iraade se manaana ya un ke tareeqe apnaana kufr hai.
Kai baar shaitaan Musalmano ko nafs ke zariye behkata hai aur hume lagta hai ke Ghair-muslimo ke tehwaar aur tareeqa achha hai.
Aaj ke daur me gairo ke saath musalman ladke aur ladkiya bhi Valentine’s day manaate hain aur wish karte hain, Haath milaate hain aur Gale milte hain aur Rose,Chocolate, Card aur Gift dete hain. Ye sab behayaai ke kaam hain aur gunaah e kabirah hai. Aur Gift wagairah dene me maal zaaya karna hai aur Fuzul kharchi bhi gunaah hai.
Aur kisi ko shehwat (lust) se dekhna ya chhuna ya is ke baare me baat karna ye sab behayaai aur bad-nigaahi aur shehwat ka gunaah hai. Aur kuchh log to Jima’a (sohbat) bhi karte hain. Kisi se bagair nikaah ke sohbat karna ‘Zina’ hai aur gunaah e kabeerah hai.
Ab hame ye tay karna hai ke hume Islaami tareeqa apnana hai ya ghairo ka? Pyare Aaqa Sayyed ul ambiya Muhammad Mustafa sallallhu alaihi wa sallam ke pyare ummatiyo, Ghairo ke tehwaar aur tareeqe kitna bhi achhe lage lekin musalman ko sirf apne mazhab ka sahi tareeqa apnana chaahiye aur in sab gunaaho se bachna chaahiye taake ALLAH aur us ke Rasool sallall?hu alaihi wa sallam raazi ho.
Aap log ye sab baate apne dosto ko batakar unhe bhi in behayaai, ayyaashi aur fuzul kharchi aur gunaaho wale tehwaar manane se door rehne ke liye samjhayen. Kisi ko nek amal karne ke liye kehna ya gunaah se bachne ke liye kehna bhi bahot badi neki hai.