WAJAN PAR JANWAR KO KHAREEDNA

WAJAN PAR JANWAR KO KHAREEDNA

AAJ KA SAWAL NO.2167

Vajan Karke Janwar ko kharidna kaisa hai ?
ismein Dhokha Nahin Hota Hai Kyunki vajan se qimat ka itminaan ho jata hai.

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Janwar tol Ke tole jaane wali chizon Mein dakhil Nahin Hai, is liye hidayah aur fathul qadeer Alamgiri Vagairah mein is muaamle ko Na-Jaiz likha hai.

Na Jaiz Hone ki vajah yah Hai Ki mamle se pahle a na janwar ka vajan Maloom hota hai na uski qimat Maloom hoti hai, To yah Muaamla majhool- na Maloom Ho Gaya, Lekin Jab Janwar ko Tol liya Jaaye us Waqt uska ka vajan aur aur qimat maloom hokar jahalat khatm Ho Jaati Hai.

Rahi Baat Vajan se janwar ka Mukammal Gosht Maloom Nahin Hota Hai, janwar Sukadkar kar yaa Sans fula kar ghata Badha deta hai to yah thodi si jahalat Maaf hai, urf Yaanai Bazar ka Aisa riwaj jis mein kharidar aur Bechne wala donon Razi hai, lihaja yah Mamla aakhirkar saheeh ho jayega.

Darul Darul Uloom Deoband ke jaise Na Jaiza hone ka Fatwa hai vaise hi Upar Di gai tafseel ke sath jawaz ka bhi Fatwa mawjud hai, us par bhi amal ki gunjaish hai Lekin Qurbani Ek Ibadat Hai jis ko saheeh tareeqe se ada karna hi taqwa hai, jo us ka maqsood hai, lihaza jab tak ho sake is ikhtilaafi tariqe se Bachana chahiye aur aehtiyat ka pehlu ikhtiyar karna chahiye.

JAIZ KE KEHNEWALE
1. AHSANUL FATAWA
2. KITABUN NAWAZIL
3. DEWBAND KE DUSRA FATWA

NAA JAIZ KEHNEWALE
1. FATAWA RAHEEEMIYAH 10/48
2. DEWBAND KA PEHLA FATWA
3. HIDAYAH FATHUL QADEER

و الله اعلم بالصواب

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *