Zul Hijjah (bakra Eid Ka Mahina) Me Baal Nakhoon Katna








Zul Hijjah (bakra Eid Ka Mahina) Me Baal Nakhoon Katna

AAJ KA SAWAL NO. 2166

Zul hijjah ke chand hone ke baad baal aur nakhoon kaatna kaisa hai?

Iski kya maslihat va hikmat hai ?

Jawab

حامد و مصلیا و مسلما

Zul hijjah ke chand hone ke baad jiske zimme qurbaani ho use baal aur naakhoon eid ki namaaz aur uski qurbaani hone tak na kaatna mustahab hai. taake qurbaani ka janwar uske har har juz (hissah) ka badal aur fidyah ho jaaye, aur Allah ta’ala ki rahmat se us aadmi ke jism ka koi hissah mahroom na rahe,

Jin logon ke zimme qurbaani nahin hai woh bhi qurbaani karne walon ki aur Haj me gaye huve hajiyon ki mushabahat (copy) ikhtiyaar karenge to woh bhi un par naazil hone wali rahmat se Insha’Allah mahroom na rahenge,

Lekin koi apne baal aur nakhoon katega, to na gunehgaar hoga, na qurbaani me koi kharaabi aayegi, is par wajib ki tarah amal karna aur aisa na karne walon ko tokna sahih nahin hai,

Jo cheez jis darajah me saabit ho usko usee darajah me rakhna chahiye.

Note: jiske zere naaf <duti ke niche ke baal> aur bagal ke balon par 40 roz guzar gaye ho to woh shakhs is mustahab par hargiz amal na kare agar woh katne me 40 din se ziyadah takheer karega to gunehgar hoga.

Mirqaatul mafaateeh 3/306

Masaaile qurbaani, islaahee khutbaat se makhooz

26 zee qadah 1441 hizri.
18/07/2020 sanichar

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti

Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *