WALEEME ME KYA KHILANA SUNNAT HAI

WALEEME ME KYA KHILANA SUNNAT HAI

AAJ KA SAWAL NO 1573

Huzur ﷺ  ki ittibaa ka ham ko hukm hai, aur Aap ka treeqa hamare liye namoona hai،

to mujhe yeh janna hai ke Huzur ﷺ ne kis ke waleeme me kya khilaya?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Bahot achchha sawal hai,

logon ne waleema karne ki sunnat ke naam par shaandar waleema karne aur ziyadah logon ko khilane ke chakkar me nikah me taakhir, soodi qarz, khane ka bigaad, waleeme me fakhr aur competition (dekha dekhi) shuru kar dee hai۔

Lekin waleeme me pyare Nabi ﷺ jinki ittibaa ka hum ko hukm diya hai unki saadgi aur mukhtasar waleema me kam kharch kar ke nikah ko ba-barakat banana bhul gaye hain,

lihaza jin azwaje mutahhraat ki waleeme ki saraahat kitabon me mili usey paish kiya jata hai.

Huzur ﷺ ne Hazrat Zainab rd. ka waleema (ek) bakri ki gosht se kiya

Hazrat Umme Salma Radeeyallahu anha ka waeema jav ki roti se kiya.

Hazrat Safiyyah Rd.ka waleema khajoor, roti aur ghee se kiya.

Hazrat aaisha Rd. ka walima ek piyala doodh se kiya.

Huzur ﷺ se muhabbat ke daawe karne wale is sunnat par ya aisa saada aur mukhtasar waleema kar ke dikhaye

BAHISHTI JAHEZ SAFA 146 BA IZAFA MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH 3 RABEEUL AWWAL 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.

Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat Gujarat India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *