Patakhe Fodne Ke Nuqsanat




Language

Click below for languages:

 

PATAKHE FODNE KE NUQSANAT 1530

Islam Me Patakhe Fodna Kyun;  Haraam Hai ? Or ‘Patakhe Fodne Ke Nuqsanat‘ Kya Kya He?

 

Jawab:  حامدا و مصلیا و مسلما

Patakhe Fodne Me Dasyon Haraam Kaam Wajood Me Aate Hai, Aur Us Me Sekdon Nuqsanat Hai Jis Me Se Kuchh Pesh Kiye Jate Hai.

Patakhe Fodne Ke Nuqsanat

  1. Kaano Ke Parde Baar Baar Tez Awaz Se Kamzor Ho Jate Hai.

 

  1. Us Ke Dhuwen Se Aankhen Kamzor Hoti Hai.

 

  1. Barud Wali Hawa Aur Dhuwa Gale Me Jati Hai Jis Se Gale Aur Fefden Ko Nuqsan Hota Hai.

 

  1. Apne Aur Padosi Ke Jan Mal Ko Khatre Me Dalna.

 

  1. Hath Per Munh Jal Jane Ka Khatrah.Aur Jal Jane Ke Hazaron Waqiah Pesh Aa Chuke Hai.

 

  1. Rocket Se Jhonpdon Aur Gharo Me Aag Lagna.

 

  1. Hawa Ka Pradusan-Kharab Hona.

 

  1. Raston Me Kachre Ka Hona.

 

  1. Karodon Aur Lakhon Rupyon Ki Fuuzool Kharchi Aur Peson Ki Barbadi.

 

  1. Budhe Bimar Aur Taza Paida Shuda Bachchen Chonk Jate Hai.

 

  1. Puri Rat Patakhe Futne Se Un Ko Bahot Taklif Hoti Hai Aur Un Ki Nind Kharab Hoti Hai.

 

  1. Metenary Hospital Ke Qareeb Fute To Suwawadi-Bachcha Jannewali Maa Pareshan Hoti Hai, Taza Paida Hone Wale Bachche Rone Lagte Hai In Ko Chup Karana Mushkil Ho Jata Hai.

 

  1. Darkht Ke Qareeb Patakhe Futte Hai To Parinde Bahre Ho Jate Hai.

 

  1. Pareendo Ke Bachchon Ka Kaleja Fat Jata Hai Aur Woh Maut Ke Ghat Utar Jate Hai.

 

  1. Kagaz Jo Ilm Hasil Karne Ka Zareyah Us Ko Jala Diya Jata Hai Aur Likhe Huwe Kagazon Ki Be Adabi Hoti Hai Quran Ke Safe Bhi Baz Jaga Paye Gaye Hai.
  2. Gair Qaum Ki Mushabahat Aur Un Ke Sath Hashr Hona Wagairah Wagairah.

 

Islahur Rusoom Saga 16,18 Iizafe Ke Sath

و الله اعلم بالصواب

Islami Tareekh :20 Safar

 

Patakhe Fodne Ke Nuqsanat” By : Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.

Ustad E Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *