ZAM ZAM PEENE KA TAREEQAH
⭕AAJ KA SAWAL NO.2950⭕
Zam zam khade ho kar peena chahiye ya baith kar ?
Bahot se hazraat khade hokar peene ko sunnat kehte hain, saheeh tareeqah kya hai?
🔵Jawab🔵
حامد و مصلیا و مسلما
HAZRAT ABDULLAH IBNE ABBAS RAZIY ALLAHU ANHU FARMAATE HAIN KE MENE NABI ALAYHISSALAAM KO ZAMZAM KAA PAANI PILAYA TO AAPNE KHADE HOKAR WOH PIYA
📗SAHEEH BUKHARI: KITAABUL ASHRIBAH
IS HADEES KI WAJAH SE BA’AZ ULAMA KA KHAYAAL YEH HAI KE ZAMZAM KA PAANI BAITH KAR PEENE KE BAJAAYE KHADE HO KAR PEENA BEHTAR HAI.
(KHASAILE NABVI TIRMIZI SAFA 156)
ISEE WAJAH SE MASHHOOR HAI KE DO PAANI AISE HAIN JO KHADE HO KAR PEENE CHAHIYEN :
1. WUZU KA BACHA HUA PAANI
AUR
2. ZAMZAM KA PAANI
LEKIN DOOSRE ULAMA YEH FARMAATE HAIN KE YEH PAANI BHI BAITH KAR HEE PEENA BEHTAR HAI SHAIKHUL ISLAM HAZRAT MUFTI TAQI USMANI SAHAB D.B. FARMATE HAIN KE MERE WALID SAHAB MUFTI E AZAM HAZRAT MUFTI MUHAMMAD SHAFEE RAHMATULLAHE ALAIH KI TAHQEEQ YAHI THI.KYUN KE KHADE HOKAR PEENE KI AAM MUMANIAT ME ZAMZAM KA PANI BHI DAKHIL HAI
AUR JAHAAN TAK HAZRAT ABDULLAH IBNE ABBAS RD. KI HADEES KA TALLUQ HAI TO USME KHADE HO KAR PEENE KEE WAJAH YEH THI KE EK TARAF TO KUWAA, DUSREE TARAF LOGO KA HUJOOM (BHEED) AUR PHIR KUNWE KEE CHAARO TARAF KEECHAD AUR BAITHNE KEE JAGAH BHI NAHIN THI,
ISLIYE AAP NE KHADE HO KAR PEE LIYA LIHAZA KHADE HOKAR PEENA JAIZ HAI.
LEKIN BAITH KAR PEENA HEE AFZAL HAI. MAKROOH BHI NAHI LIHAZA BETHHE HON TO KHADA NAHI HONA CHAHIYE
📗MAAKHUZ AZ ISLAHI KHUTBAT 5/237 WA DARSE TIRMIZI 3/253
BA’AZ LOG TOPI UTARKAR PEETE HAIN KE HUZOOR SALALAHU ALAYHI WASALLAM NE BHI ISEE TARAH PIYA THA TO US KA JAWAB YEH HAI KE HUZOOR SALALAHU ALAYHI WASALLAM AEHRAAM KI HALAT ME THE, AEHRAAM ME SAR PAR TOPI NAHI HOTI HAI, ALBATTAH QIBLAH RUKH HOKAR PEENA MUSTAHAB HAI.
DARUL IFTA DARUL ULOOM DEOBAND AUR DARUL IFTA JAMIATUL ULOOMUL ISLAMIYA BINNORI TOWN SE MAKHOOZ
و اللہ اعلم بالصواب
✒Mufti Imran Ismail Memon Sahab
🕌Ustad e Darul Uloom Rampura SuratGujarat India