12 Rabiul Awal Ko Kya Karen ?

Sawal:

12 Rabiul Awal Ko Kya Karen ?

Kal Eidmiladun Nabi Ko Kya Karna Chahiye? Shariat Me Is Bare Me Kya Rahnumai Hai?

Jawab:

Huzoor Salallahu Alaihi Wasallam Ki Wiladat Aur Wafat Ki Tareekh Me Sakht Ikhtilaf Hai, Isliye Ke In Dono Dino Me Har Saal Kuchh Bhi Karne Ka Ihtimaam Sahaba Ne Nahi Kiya, Khud Huzoor Salallahu Alaihi Wasallam Ne Bhi 63 Salah Zindagi Me Wiladat Ka Din (Birthday) Nahi Manaya, Aap Ki Pedaish Peer (Monday) Ke Din Hui Thi, Is Liye Aap Peer Ke Din Aksar Roza Rakhte The, Isliye Peer Ke Din Roza Rakhna Sunnat Hoga.

Lekin Tareekh Manana, Aur Usee Tareekh Ko Kuchh Amal Rozah Namaz Juloos Naat Wagairah Na Huzoor Salallahu Alaihi Wasallam Se Sabit He, Na Tamaam Sahaba E Kiram Radeeyallahu Anhum Se Sabit He, Na Taabein Wa Tabe Tabein Se Sabit He, Na Awliya E Kiram Se Sabit, Na Charon Maslak Ke Imamon Se Sabit.

Halan Ke Woh Log Huzoor Salallahu Alaihi Wasallam Se Sab Se Ziyadah Muhabbat Karnewale Aur Shariat Ko Jannewale The.

Na Fiqah Wa Hadees Ki Tamaam Kitabon Me Is Bare Me Koi Rahnumaee-Kuchh Likha Huwa He.

Lihaza Is Din Na Khushi Manaye, Na Gam, Kyun Ke Wafat Bhi Isee Din Hui Hai, Isee liye Ham Aaj Se 10 Sal Pehle Ise Bare Wafat Kehte The, Wafat Bhi Allah Talaa Ne Isee Din Rakhi, Take Log Gairon Ki Tarah Khushi Manane Se Ruk Jaye.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *