masaile qurbani
Sawal..
Jo log hajj me jate hen un per baqraid wali maldari ki qurbani wajib he ya nahi.. ??
Jawab
Baqra eid wali qurbani maaldaar musafir per wajib nahi hoti, balke apne gahr per ho ya kahi 15 din ya us se zyada thehre to qurbani wajib hogi,
Agar hajji hajj ke dino ko milakar 15 din makka me theherne wala he to agar wo maaldaar he to us per baqraid wali qurbani wajib hogi, chahe waha kare chahe apne ghar per karwale
(Hajj wali qurbani alag he, us ka masala alag he. )
(Jo hazraat hajje tamattu ya qiran karte hen un per hajj ki qurbani to wajib he hi our agar wo maaldaar our muqeem hen to un per baqraid ki qurbani bhi wajib hogi.. )
Our agar 15 din nahi theherna to wo musafir hoga us per baqraid wali qurbani wajib nahi..
Note.. jadid zamane ke aetebar se aksar muftiyane kiraam ki raay ke mutabiq mina, muzdlifa ab makka ke hudud me dakhil hen, lihaza un dino ko milakar 15 din hojayenge to wo muqeem kehlayega our maldari ki qurbani wajib hogi..
(Kitabul masail, mahmudul fatawa, fiqhi seminar ka fesla bhi isi per he..)
M Ibrahim alyani