Haj me jane walon haqeeqee taiyyaree kiya karni chahiye ?

SAWAL

Haj me jane walon haqeeqee taiyyaree kiya karni chahiye ?

 

JAWAB

Agar aap par haj farz hai aur aapne haj par jane ka iradaa kar liyaa hai

To is nemate uzmaa ki qadro qimat ko pahechaniye aur apne andar mahsus kijiye ke

Allah taala ne apne muqaddas ghar aur

Apne mahboob sallallahu alaihi wasallam ke muqaddas shahar ki hazri ke movqe ke baat aap ke dil me daali

Aur uske asbaab bhi aapko muhaiya farma  diye

Ab is nemate uzma ka shukriya ye hai ke

Apne aap ko harmain sharifain ke rehmato barkato anwarat aur tajalliyat ke husul ke liye apne aapko

Hajj ke aamaal seekhne ki taiyari me lag jaye

Isliye ke bada hi bad nasib hai wo shakhs jisko

Uska movla behtareen safar nasib kare

Aur wo apne aapko  waha ki hazri  ke aadab aur tareeqa seekhne ki aur banane sanwarne ki  fikr na kare

Aur yunhi gaflat aur besuouri-naa sanjhi ke sath waha ja pahonche

Isliye zaroori hai ke ham deen ka ilm seekh kar aur apne gunahon se sachi touba kar ke

Aur logo ke huquq baqi ho usko adaa kar ke ya muafi kara kar pak saaf ho kar

Allah taala ke aali darbaar me pahonche

Alhamdulillah har shaher me aur har jagah haj ke aadab aur arkan sikhane ki fikr hoti hai camp-jod bhi hote hai

Aur masajido me bhi haj ke aadab sikhaye jate hai

Aap apna qimti waqt nikal kar masturat ko masturat ke liye jaha arkan seekhaye jate ho bheje aur khud bhi pabandi se jude aur haj ke mavzooa par muatabar kitaben bhi khareedkar parhna shurooa kar de

Aur aap sathi bhi fikr karle ke jo hazrat haj par ja rahe hai unhe targeeb dekar haj ke arkan o aehkam sikhne ki, ho sakta hai aap ki mahenat se kai logo ka hajj saheeh ho jaye aur aap zariya ban jaye

*makhuz hajj sunnat ke mutabiq

Allah taala sabko har amal seekh kar fikro k sath karen ki toufiq ataa farmaye.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *