Ek qurbani kayi logon ke isaale sawab ke liye
⭕AAJ KA SAWAL NO.2891⭕
Chand marhum ke isaale sawab ke liye qurbani karni ho to har marhoom ka alag alag hissah rakhna zaruri hai ya ek hissah chand marhoom ke sawab ke liye kafi hai?
🔵JAWAB🔵
Har ek ke liye juda juda hissah rakhna zaruri hai. Ek hissah ek se zaid marhoom ke liye kaafi nahin. Albattah apni taraf se nafal qurbani kar ke uska sawab ek se zyadah murdon aur zindon ko bakhashna durust hai jaise ke Huzoor ﷺ ne ek qurbani ka sawab poori ummat ko bakhsha tha.
Agar gunjaish ho Allah Taala ne maal diya ho to apne marhum rishtedar, buzrugon ke liye zaroor qurbani karen. In dino me doosre nek a’amal ke muqabalah me sabse zyadah qurbani hee ka sawab hai. Isse murdon ko badaa faidah hota hai.
📗Fatawa rahimiyyah darul ishaat 10/25
Aur
📕Kitabun nawazil 14/528 se makhooz.