SHAUHAR (HUSBAND) KE ZIMME BIVI KE HUQOOQ
⭕ AAJ KA SAWAL NO.2961⭕
Shauhar ke zimme bivi ke kya huqooq aur aadaab hain?
Us baare me badi kotahi ho rahi hai.
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Qura’an wa hadees ki roshni me shauhar ke zimme jo bivi ke huqooq hain woh hasbe zail hain :
1⃣ Shauhar ka bivi ke samne achchhi haalat me rehna (Saaf suthra khushbudaar rehna)
2⃣.Shauhar ka apni bivi ko wohi cheez khilana jo khud kha raha ho.
3⃣ Aurat ko usee meayar (catagory) ke kapde pehnana jis meayar ke khud pahan raha ho.
4⃣ Narmi se baat karna.
5⃣ Bivi se husne sulook karna aur usse pahonchne wali takaalif ko bardasht karna.
6⃣ Ghar ke kaam-kaaj me bivi ka haath batana.
7⃣ Jaiz wa’adon (promises) ko poora karna,
8⃣ Ek se zyadah biviyon me baraabari karna,
9⃣ Na munasib kaamon par pehle naseehat karna,
🔟 Nasihat se fayda na ho to sone ki jagah ko alag karna.
1⃣1⃣ Agar yeh tariqah bhi mufeed saabit na ho to hudoode shareeat me reh kar kuchh halki si pitayi karna,
1⃣2⃣ Aurton ko munh par na marna,
1⃣3⃣ Bivi ki saheliyon aur rishte daron ka ikraam karna.
1️⃣4️⃣ Us ki izzat kare,us se muhabbat kare,
1️⃣5️⃣Shareeat ki had me rehkar us ko razi rakhne ki koshish karen.
1️⃣6️⃣Us ke gharwalon ko achchhe naam se yad kare,un se milta rahe Mukhtalif mavaqe aur taqreebat-khushi ke waqt un ki dawat kare.
1️⃣7️⃣ Us ke Raaz aur aib ko na khole.
1️⃣8️⃣Zaroori deenee muaamalat ki taleem dena.
1️⃣9️⃣ Raat der tak ghar se bahar na rehna.
2️⃣0️⃣Burayi me mashhoor aurat ki sohbat se mana karna.
📕KAMYAB IZDIWAJI ZINDAGI KE SUNEHRE USOOL SAFA 288 se 293
و الله اعلم بالصواب
📗SUNANO A’ADAAB SAFA 272
ISLAMI TAREEKH :2 Safar 1444 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustad e Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.