YOUTUBE KI KAMAYI KA HUKM

YOUTUBE KI KAMAYI KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL No. 2960⭕

kya youtube ki kamayi jaiz hai ?

Jitne zyadah log dekhte hain ya like karte hain to sharaait ke sath utna bhada milta hai.

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Kamayi ke jaiz hone ke liye Niche diye huve rules ko follow karna zaruri Hai.

1. apne video me kisi Naa mahram ki photos na ho.

2. apne video me kisi shareeat ke khilaf aur na jaiz kam ko share na kiya gaya ho.jaise soodi scheme, insurance,sharab,murti, juwe wagairah ki ad

3. apne video me kisi bhi tarah ka music na ho.

4. paise hasil karne me ya dene me kisi bhi tarah intrest ka mamla na ho, aur isi tarah koi aisa lain dain na ho jis se mamla faasid karna padta ho.

5. apni Channel par kisi bhi tarah ki gair mahram ki tasweer wale ya kisi bhi tarah ki shareeat ki khilaf advertise na hoti ho.

6.kisi bhi Jandar ki digital tasweer ho to us me muftiyane kiram ka ikhtilaf hai aksar mana karte hain baaz gair mahram ki tasweer na ho to ijazat dete hain.

agar in rules ko follow karte hue channel chalaya jata ho, aur kamayi ki jati ho to kamayi karna jaiz Hai.

Aur ye baat yaad rahe ke jo log Entertainment (Tafreeh), pranks (hansi ,mazaq) wagairah ki sirf dil behlane wali, dunya aakhirat ke nafe se khali fuzool aur bekar cheez ki video upload karte hai un ki kamayi makrooh hai.

Note :
hamari maloomat ke mutabik youtube par aisa channel chalana hamare is zamane me posible nahi Hai, kyun ke agar hum apni taraf se in rules ko follow karte bhi Hain, to youtube wale apni taraf se, apni marzi se Aurton ki ya music wagairah wali advertise daal hi dete Hai, aur vo advertise mulkon aur area ke aitebar se badalte bhi rehte Hain, jin me bahot se shreeat ke khilaf advertise bhi chalaye jate Hain.
is vajah se youtube channel bana kar us ke zariye paise kamane se bachna chahiye.

و الله اعلم بالصواب
source
1.DARUL IFTA AL IKHLAS KARACHI FATWA NO.5923

2.Darul ifta jamiatul uloomul islamiyyah binnori town.
fatwa number : 144206200015

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampura, Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *