Zam Zam Peene Ka Tariqah 1498
‘Zam Zam‘ Khade Ho Kar Peena Chahiye Ya Baith Kar ?
Bahot Se Hazraat Khade Hokar Peene Ko Sunnat Kehte Hain Sahih Tariqah Kya Hai?
Jawab: حامد و مصلیا و مسلما
Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.A. Farmaate Hain Ke Mene Nabi Alayhissalaam Ko “Zam Zam” Kaa Paani Pilaya To Aapne Khade Hokar Woh Piya
Saheeh Bukhari: Kitaabul Ashribah
Is Hadees Ki Wajah Se Ba’az Ulama Ka Khayaal Yeh Hai Ke “Zam Zam” Ka Paani Baith Kar Peene Ke Bajaaye Khade Ho Kar Peena Behtar Hai.
Isee Wajah Se Mashhoor Hai Ke Do Paani Aise Hain Jo Khade Ho Kar Peene Chahye:
- Wuzu Ka Bacha Hua Paani
- “Zam Zam” Ka Paani
Lekin Dusre Ulama Yeh Farmaate Hain Ke Yeh “Zam Zam” Paani Bhi Baith Kar Hee Peena Behtar Hai
Aur Jahaan Tak Hazrat Abdullah Ibne Abbas Rd. Ki Hadees Ka Talluk Hai To Usme Khade Ho Kar Peene Kee Wajah Yeh Thi, Ke Ek Taraf To Kuwaa, Dusree Taraf Logo Ka Hujoom (Bhid) Aur Fir Kuwe Kee Chaaro Taraf Keechad Aur Baithne Kee Jagah Bhi Nahin Thi.
Isliye Aap Ne “Zam Zam” Khade Hokar Kar Pee Liya Lihaza Khade Hokar Peena Jaiz Hai.
Isse Yeh Laazim Nahin Aata Ke “Zam Zam” Khade Hokar Kar Peena Afzal Hai.
Maakhuz Az Islahi Khutbat 5/237
Ba’az Log Topi Utarkar Qiblah Ki Taraf Rukh Kar Ke “Zam Zam” Pite Hain, Ke Huzoor Salalahu Alayhi Wasallam Ne Bhi Isee Tarah Piya Tha.
To Us Ka Jawab Yeh Hai Ke Huzoor Salalahu Alayhi Wasallam Aehraam Ki Halat Me The, Aehraam Me Sar Par Topi Nahi Hoti Hai, Aur Wahaan Ka’aba Nazar Aata Tha.
Lihaza Gair Muhrim Aur Jo Ka’aba Ke Paas Na Ho Uski Pabandi Karna Aur Logon Se Karvana Munasib Nahin.
و اللہ اعلم بالصواب
Mufti Imran Ismail Memon Sahab
Ustad E Darul Uloom Rampura Suratgujarat India.