BIWI KE ZIMME SHOHAR KE HUQOOQ

BIWI KE ZIMME SHOHAR KE HUQOOQ 1507-1508

‘Biwi ke zimme shohar ke huqooq’ Or aadaab Kya Kya hain?

 

JAWAB:   حامدا و مصلیا و مسلما

“Biwi ke zimme shohar ke huqooq” Or wa aadaab Jo He hain, woh hasbe zail hain.

  1. Biwi ka apne shauhar ke hukm ko manna.
  2. Shauhar ki khidmat karna.
  3. shauhar ke ghar me shauhar ki ijazat Ke bagair kisi ko daakhil na karna.
  4. Shohar ke maal ko uski ijazat ke bagair kahin bhi isteamal na karna, isee tarah israaf na karna.
  5. Shauhar ki ijazat ke bagair uski mavjoodgi me nafali rozah na rakhna.
  6. Miya bivi ka ek dusre ki Kotahi wa kami se chashmposhi (let go, ignore) karna.
  7. Ek dusre ke bure sulook par sabr karna.
  8. Qana’at ikhtiyar karna (jo kuchh mil jaye us par santosh, bas karna)
  9. Shauhar ki na shukri na karna.
  10. Shauhar ki guftagu (baat-chit) ke waqt khamosh rehna.
  11. Shohar ke ghar walon ka ikram karna.
  12. Apne padosiyon se kam se kam baat-chit karna.
  13. Apne shohar ke doston ke samne apni pehchan na karwana, balke jo pehchanta ho uske samne bhi ajnabiyat ikhtiyar karna.
  14. Poori tawajjuh apni islah, ghar ke intizam aur namaz rozah ki paabandi ki taraf karna.
  15. Shauhar ke saamne zebo zeenat ke saath ban sanwar kar rehna.
  16. Usko dekhte waqt khushi ka izhar karna.
  17. Us se qareeb hone ke mauqe par muhabbat ka izhar karna.
  18. (Agar uzr na ho to) aurat ka sohbat se inkar na karna.
  19. Miyan bivi ki milan ki baaton ko dusron ke saamne bayan na karna.
  20. Shauhar ke nikalte waqt darwaze tak saath jaana.
  21. aurat ka kisi badi wajah ke bagair talaq ka mutalaba na karna.

و الله اعلم بالصواب

“Biwi ke zimme shohar ke huqooq”

SUNANO ADAB SAFA 268.

NOTE: YE MSJ APNI TAMAM MAHRAM AORTON KO ZAROOR SUNAYE.

SUNANO ADAB SAFA 268

ISLAMI TAREEKH: 26,MUHARRAMUL HARAAM 1440 HIJRI.

Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *