AABE ZAMZAM ME SAADA (AAM) PANI MILANE KA HUKM
⭕AAJ KA SAWAL NO.2948⭕
Kya aab-e-zamzam ke saath aam paani Mila kar batore zamzam istemal Kiya ja sakta he ?
Aur zamzam ke saath aam Pani milana, ya aam paani ke saath zamzam milana rutbe ke aitebaar se koi farq huwa karta he ?
Sharyee dalil ke saath jawab tahrir farmaye.
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Aabe zamzam ka rutba digar paani se bahut buland hai, aabe zamzam me barkat, gizaiyat or bimariyon se shifa he, aabe zamzam me agar aam paani ki milawat qalil (thodi/kam) miqdar me ho aur aabe Zamzam galib (ziyada) ho to usey aabe zamzam kaha ja sakta he, Aur us tarah usko istemaal Kiya ja sakta he.
lekin agar aam paani galib ho aur zamzam bahut Kam ho to usey aabe zamzam kehna ya Zamzam keh kr pilana durust nahi.
إذا اختلط اللبن بالماء واللبن ہو الغالب تعلق بالتحریم وإن غلب الماء لم یتعلق بہ التحریم ․․․․․المغلوب غیر موجود حکماً حتی لایظہر بمقابلة الغالب الخ (ہدایہ)
📗Maakhuz: Darul ifta Darul ulum deoband,
Fatwa number :16773
DARUL IFTA JAMIATUL ULOOMUL ISLAMIA BINORIA TAWUN FATWA NO.144012200958
و الله اعلم بالصواب
🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
20 MUHARRAM 1444 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.