ALLAH AUR RASOOL ﷺ NE KYA HAME NAHI BATAYA K KAUN KAUN SI EID HAIN ISLAM ME? KYA HAME LAGTA HAI K HAMARE PYARE NABI NE HUM SE KOI NEKI KA KAAM CHUPAYA HAI?
Nauz billah aisa sochna bhi gunha hai,
Kya ham apne app ko Allah aur rasool ﷺ Se bada mante hai, jo dil ne chaha wo karenge…??
Kisi bhi sahi ahadees se eid milad un nabi saabit nahi hai. ye teesri eid bidat hai aur bidat seedhi jahannum lejati hai.
Milaad manana jaiz nahin hai kiun k hamre sahaba main se kisi ne nahin manaya.
Note:
12 rabi-ul-awwal ka din nabi ﷺ ki zindagi main 63 bar aya..
Aur khulafa-e-rashideen mai se
abu bakar(r.a)ki khilafat main 2 bar..
Umar(r.a)ki khilafat main 10 bar..
Usman(r.a)ki khilafat main 12 bar
aur ali(r.a) ki khilafat main 4 bar aya,
kya in me se kisi ne bhi eid-milad-un-nabi manaya? Kya sahaba, tabaen or aima-arba main se kisi aik ne bhi ye din manaya? Nahi na? To jan len ke ye teesri eid biddat hai aur “har biddat gumrahi hai jis ka anjam jahannum ki aag hay”.
Jo jo kehta hai kh eid-milad-un-nabi manana jaiz hai to un logo se guzarish hai ke woh is baat ko quran-o-hadees ki roshni mai saabit karde.
Huzur mohammad ﷺ se sab se ziyada mohbbat honi chahiye, har musalmaan ko honi chahiye, is mein koi shak nahi hona chahiye, or kasrat se darood-o-salam parhna chahiye, magar kia yeh mohabat ka tareeka sahi hein ke
road blocks kar ke, loud speakers par music ke saath naate parhi jaye
ya shirkiya kalmat gaaye jai? Dance kiya jai?,
road par jaloos nikaltay hein or zubaan par ek doosray se hasi mazaak galiya sub tarha ki batay?
Aisa to nahi hona chahiye, aisa din guzarnay se behtar hein ke is tarha khushi na manayee jaye, apnay apnay gharon mein baith kar kasrat se darood parha jaye, jaloos nikalna, hospital ke aur tamam raston ko block kar dena, ke koi hospital na pohonch sakay, or mareez raastay hi mein dum tor dey, logon ko apne apne rozana ke kaamom me taklif ho, yeh hamaray nabi ﷺ ki taleemat nahi hein,
nabi ﷺ ki sunnat par amal kar ke hi un ko razee kar saktay hein, woh hum kartay nahi aur na karnay ko kehtay hein,
haan jaloos bara hona chahiye, speaker zordar honay chahiye, lighting roshni chamakdar honi chahiye, wagerah wagerah. Ai
si khushi manana kis kaam ki?
Note: durud padhne k liye bhi koi khas din mukarrar na ki jaye siwae agar wo saabit ho balki jitna zyada ho sake padha jaye, agar mumkin ho to roz padha jaye, zyada se zyada tadad me padha jaye.
Khushi to uske liye hai jo Allah aur uske pyare nabi ﷺ ki ita’at kare aap se sahi muhabbat kare . Aap ka paiygam pure aalam mein pohchae.
Aap ﷺ se mohabbat ka taqaza yeh hai k unki taleemaat ko follow kia jae…sahih adadith me kahi milad manane ka hukum nahi dia gaya … zaeef ahadith kabhi bhi proof nhi ho sktein ..zaeef ahadees ko proof banaty hue allah se darie ….
Allah swt hume nabi s.a.w ki sunnato per chalne ki aur bidat jaisi gumrahi se bachne ki tofeeq ata farmaye. Ameeeen.