ALLAH KO LAFZE TU KAHE YA AAP?

ALLAH KO LAFZE TU KAHE YA AAP?

⭕AAJ KA SAWAL No. 2876⭕

Allah ke liye wahid- ek wachan tu ka lafz istemal karna chahiye ya aap ka?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Allah ke liye Wahid -ek wachan ya jam’s – Bahu vachan ka lafz istemal karna jaiz khud quran me surah e hijr,ayat 9 saaffat ayat 75 aur an’aam ayat 29 me mavjood hai.aur Urdu muhaware me wahid-ek wachan ka lafz istemal karna awla aur behtar hai.

📗FATAWA QASMIYA 382
KIFAYATUL MUFTI JADEED. 1/242.

(Lafze ‘Aap’ me ek se zayada hone ka sunnewale ko shubah ho sakta hai.’tu’ me nahi yani tu me toheed ka mana galib hai.aur jis se muhabbat hoti hai use ham lafze tu aur jis ka adab galib hota use aap se ham pukarte hai.)

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *