ALLAH TAALA KE HAR JAGAH HAZIR HONE KA SAHEEH MATLAB
⭕AAJ KA SAWAL No. 2874⭕
Gair muqallideen hanafi maslak ke anparh logon ko aur unke bachchon ko is tarah se behkaate hen ke tumhaara aqeedah he ke Allah ta’aala har jagah haazir wanaazir he , to kya Allah ta’aala baitul khala me bhi haazir wa naazir hotaa he? Is tarah ke sawal kar ke shukook wa shubhaat me mubtalaa karte hain, to mufti saahab se guzaarish he ke haazir wa naazir ka saheeh matlab kya he uski wazaahat farmaayen.
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
“Allah ta’aala har jagah haazir wa naazir hen” us me koi shak nahi, lekin kis tarah haazir wa naazir hen , wo quraane kareem ke alfaaz ke zariye waazeh hota he, Allah ta’aala ne qur’aane kareem me apni sifaate aaliyah bayaan farmaayi hen, Aleemun, sameeun, baseerun, lateefun, khabeerun, to Allah tabaarak wa taala khoob sunnewala, bahut dekhnewala, bahut jannewala, baareekai ko dekhnewala, aur bahut khabar rakhnewala, hone ke eitibaar se har jagah haazir wa naazir he, albatta uski kefiyat kesi he? wo Allah Taala hi ko maaloom he, Aur Allah ta’aala masaajid me bhi aleem, sameea, baseer, lateef aur khabeer he, isi tarah gharon aur raaston, hammam, phaatakon, haweliyon, zamin wa aasmaan ke har goshaa, har jagah aleem, sameea, baseer, lateef aur khabeer hai. Is eitibaar se Allah ta’aala har jagah haazir wa naazir he.chunaanche Allah ta’aala ne irshaad farmaaya … ke ham insaan se uski jaan ki rag se bhi zyaadah qareeb hen, aur uski kefiyat Allah Taala hi ko maaloom he, lihaaza sawaal karke shubah paidaa karne waalon ko yahi jawaab diyaa jawega ke Allah ta’aala sameea, baseer, aleem, wa khabir hone ke eitibaar se baitul khala me bhi hazir wa naazir he.
Aur uski kefiyat kya he ? ham ko maaloom nahi, aur tumhaari baitul khala ki baaton ko bhi jaanta he, har jagah tum se ,tumhaare rage jaan se bhi zyaadah qareeb he, chaahe ghar me ho, ya hawaai jahaaz me ho, chahe zamin ke niche , har jagah tumhaari sheh rag se bhi zyaadah qareeb he, gair muqallideen aise sawaalat karke khaali zahan wale musalmaanon ko shukuk o shubhaat me mubtalaa karna chaahte hen, Allah Taala un se musalmaanon ki hifaazat farmaaye.
📕FATAWA QASMIYA 1/387
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India